wo jiske liye mahfile kaunain saji hai
firdose bari jiske wasile se bani hai
wo hashmi makki madniul arbi hai
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai
ahmad hain mohammad hai whai khatme rosul hain
makhdum morbbi hain wahi waliye kul hain
us par hi najar sare jamane ki lagi hai
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai
was shamsuddoha chehrye anwar ki jhalak hai
wal lail saja gesuye hajrat ki lachak hai
aalam ko jiya jiske wasile se mili hai
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai
allah ka farman alam nasrah laka sadrak
mansub hai jis se warafana laka jikrak
jis jat ka quran me bhi jikre jli hai
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai
yasino mojammil wa modassir wa taha
kya kya nye alqab se maula ne pukara
kya shan hai uski jo ummi laqbi hai
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai
wo jat ki jo majhare laulak lama hai
jo sahibe raf raf shabe meraj hua hai
asra me imamat jise nabiyo ki mili hai
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai